Hajra Noor Zaryab

shahr-e-tarik ko sapnon ka nagar hone tak

Hajra Noor Zaryab

Akola, Maharashtra, India

1978
shahr-e-tārīk ko sapnoñ kā nagar hone tak
muntazir baiThī huuñ is shab kī sahar hone tak
hijr meñ hālat-e-dil kaise sambhal pā.egī
rāh-e-dushvār se yādoñ kā guzar hone tak
raat kī god meñ armān liye baiThī huuñ
kaash aa jaa.e vo ye raat basar hone tak
us kā mujh se hai taqāzā ki gulistāñ meñ rahūñ
apnī ra.anā.ī kā phūloñ pe asar hone tak
pyaar ko ahl-e-zamāna se bachā kar rakhiye
pyaar kī apnī sabhī manzileñ sar hone tak
vo to aa jā.egā mujh ko ye yaqīñ hai lekin
miT na jā.ūñ kahīñ maiñ us ko ḳhabar hone tak
tum ne 'zaryāb' yūñhī naġhma sunāyā thā use
us ko gaanā hai magar pyaar amar hone tak
Top Urdushayar.com