jab muqaddar hī meñ hai tanhā.ī se yaarī pāgal
phir vahī shaḳhs hai kyuuñ zehn pe taarī pāgal
raat bhar terī tamannā ke safar meñ guzrī
duur tak tīrgī-e-rāh pukārī pāgal
mujh ko rukne na diyā merī junūñ-ḳhezī ne
aql kahtī hī rahī fikr se aarī pāgal
tujh ko har sub.h ke āġhāz pe sochā maiñ ne
mujh ko kartī hī rahī merī ḳhumārī pāgal
tū ne kāġhaz pe kabhī naqsh banāyā thā mirā
kar ga.ī mujh ko vahī naqsh-nigārī pāgal
jhuum kar jab mire chehre pe vo lahrā.ī thī
tum ne kis naaz se vo zulf sañvārī pāgal
merā saaya hī faqat saath mire chaltā hai
apne saa.e se hī rakhtī huuñ maiñ yaarī pāgal
us ne dil haar ke 'zaryāb' mujhe jiit liyā
ishq kī riit hai duniyā se niyārī pāgal