na zinda na murda na duniyā na diiñ kā
mujhe tū ne zālim na rakkhā kahīñ kā
abas imtihāñ meñ lagāte ho vaqfa
bharosā hai kyā merī jān-e-hazīñ kā
mujhe ghar meñ gardish hai patlī kī sūrat
ye e.ajāz hai chashm-e-sehr-āfrīñ kā
purānā na fitna tire ghar se uTThā
nayā āsmāñ hai magar is zamīñ kā
kabhī mere tan meñ kabhī us ke ghar meñ
yahī shaġhl hai merī jān-e-hazīñ kā
ġhazab hai mirī us se takrār-e-va.ada
sitam hai jo mauqa.a milā ab nahīñ kā
sunā tū ne 'āqil' ajab raat guzrī
mohabbat kā mazkūr niklā kahīñ kā