Meer Mohammad Sultan Aaqil

yun nahin chain to ghaflat ka sitam aur sahi

Meer Mohammad Sultan Aaqil

yuuñ nahīñ chain to ġhaflat kā sitam aur sahī
ham ye samjheñge ki afzā.ish-e-ġham aur sahī
tum na aaoge to kyā jaan na jā.egī mirī
āmad-o-raft nafas kī koī dam aur sahī
kahte haiñ zulm ke ba.ad aah karoge to kyā
lashkar-e-jaur-o-jafā meñ ye alam aur sahī
jhuk ke milne se tumhāre mujhe ḳhauf aatā hai
go ye ḳham aur sahī teġh kā ḳham aur sahī
asl meñ jalva ye kis kā hai tū hī kah vaa.iz
terā rab aur sahī merā sanam aur sahī
va.ada-e-vasl kī takrār pe kahte haiñ ki jhuuT
inhīñ ahdoñ meñ tire sar kī qasam aur sahī
jashn-e-jamshed mayassar hai ki dil rakhte haiñ
jaam ye aur sahī sāġhar-e-jam aur sahī
ḳhuub hai tum meñ jafā kī na rahegī aadat
mere badle bhī raqīboñ pe karam aur sahī
Top Urdushayar.com