Meer Mohammad Sultan Aaqil

idhar to hum jaan kho rahe hain udhar wo ulfat se ro rahe hain

Meer Mohammad Sultan Aaqil

idhar to ham jaan kho rahe haiñ udhar vo ulfat se ro rahe haiñ
kudūrateñ umr bhar kī dil se vo aaj ashkoñ meñ dho rahe haiñ
na baaz rakh ham ko rone se tū gireñ jo ashkoñ ke daane bahattar
ye kisht-e-hasrat meñ apnī hamdam umiid kā tuḳhm bo rahe haiñ
idhar taraqqī ḳhayāl ko hai udhar taraqqī jamāl ko hai
vahāñ to madd-e-nazar hai surma yahāñ tasavvur meñ ro rahe haiñ
jahāñ huā tifl koī paidā kahā ye maañ ne abul-bashar kī
mirī bhī āġhosh hai kushāda abas ye sāmān ho rahe haiñ
kiyā hai be-jurm qatl mujh ko hujūm-e-aġhyār-o-āshnā meñ
aur is pe dekho DhiTā.ī ashkoñ se dāman apnā bhigo rahe haiñ
na pūchho kuchh ma.asiyat kā aalam farishto ham kyā ki tum ne bachte
haqīqat is kī unhīñ se pūchho sara-e-duniyā meñ jo rahe haiñ
ḳhabar visāl-e-adū kī sun kar visāl ke ma.anī sochte haiñ
unhīñ ko vaañ kuchh nahīñ hai shādī ki ḳhush yahāñ ham bhī ho rahe haiñ
gila abas un se kiije 'āqil' kiyā hai qismat ne un ko ġhāfil
jo dar pe jā kar pukārā maiñ ne to bole kah do ki so rahe haiñ
Top Urdushayar.com