terī yādoñ meñ kho.e raheñ merī jaañ
itnī mohlat kise itnī fursat kahāñ
jis jagah Tap se aañsū kā qatra girā
ek sho.ala sā bhaḌkā vahīñ nā-gahāñ
ham se kyā pūchhte ho hameñ kyā ḳhabar
aag kyuuñ lag ga.ī āshiyāñ āshiyāñ
ham bhaTakte rahe dasht-e-zulmāt meñ
phuul hañste rahe gulsitāñ gulsitāñ
haa.e vo ajnabī log ik shahr ke
āshnā āshnā mehrbāñ mehrbāñ
sach hai tū ne kabhī mujh ko chāhā na thā
dil kahāñ, ek hone kī sūrat kahāñ
tū ne kab mujh se bāñdhā thā ahd-e-vafā
ḳhārzāroñ meñ bastī nahīñ titliyāñ
'nūr' tārīkiyāñ is qadar baḌh ga.iiñ
miT ga.e chāñd rātoñ ke saare nishāñ