Noor Bijnauri

wahi mohtasib ki malamaten wahi ek wazeh hasin meri

Noor Bijnauri

Bijnor, Uttar pradesh, India

1924-2001
vahī mohtasib kī malāmateñ vahī ek vāzeh hasīñ mirī
vahī rañg rañg subū mirā vahī daaġh daaġh jabīñ mirī
tirā shahr shahr-e-ajīb hai yahāñ kaun hai jo ġharīb hai
koī kah rahā hai falak mirā koī kah rahā hai zamīñ mirī
mirī hasratoñ ke dayār meñ tirī justujū se bahār hai
tirā naqsh-e-pā hai jahāñ kahīñ hai jabīn-e-shauq vahīñ mirī
isī ā.īne meñ kiran kiran kisī hūr-vash kī tajalliyāñ
yahī dil hai jām-e-jahāñ-numā yahī dil hai ḳhuld-e-barīñ mirī
ka.ī āftāb ka.ī qamar mire soz-e-dil se haiñ nūr-gar
ki misāl-e-sham.a sulag rahī hai azal se jān-e-hazīñ mirī
mire āñsuoñ ne kahā na thā ki bichhaḌ ke phir na mileñge ham
tujhe yaad ho ki na yaad ho vo nigāh-e-bāz-pasīñ mirī
Top Urdushayar.com