Noor Bijnauri

tamam raat hawa chiKHti rahi ban mein

Noor Bijnauri

Bijnor, Uttar pradesh, India

1924-2001
tamām raat havā chīḳhtī rahī ban meñ
tamām raat uḌī ḳhaak dil ke āñgan meñ
hai aql zahr junūñ zahr-e-aql kā tiryāk
ye raaz khul hī gayā ham pe bāvle-pan meñ
ye jugnuoñ kī chitāeñ ye sogvār fazā
sulag uThe haiñ sharāre nazar ke dāman meñ
sahar huī to bagūloñ kā raqs dekheñge
ḳhizāñ ne ham ko bulāyā hai sehn-e-gulshan meñ
maiñ us se bhaag ke jā.ūñ bhī to kahāñ jā.ūñ
chhupā huā hai koī roz-o-shab kī chilman meñ
uThā.ūñ taisha-e-farhād be-sutūñ kāTūñ
ye aarzū to javāñ thī mire laḌakpan meñ
maiñ dil kī aag ko ġhazloñ kā ruup detā huuñ
nahīñ harīf kisī kā maiñ sher ke fan meñ
Top Urdushayar.com