Noor Bijnauri

dil ke daghon mein sitaron ki chamak baqi hai

Noor Bijnauri

Bijnor, Uttar pradesh, India

1924-2001
dil ke dāġhoñ meñ sitāroñ kī chamak baaqī hai
shab-e-furqat abhī do-chār palak baaqī hai
surḳh hoñToñ ke diye zehan meñ raushan haiñ abhī
abhī afkār meñ zulfoñ kī mahak baaqī hai
bāzuoñ meñ tire paikar kī latāfat raqsāñ
uñgliyoñ meñ tirī bāhoñ kī lachak baaqī hai
qasr-e-parvez meñ gum ho ga.ī shīrīñ kī sadā
dāman-e-koh meñ teshe kī dhamak baaqī hai
sarsar-e-jaur ne har-chand ḳhizāñ bikhrā.ī
phuul meñ aag shagūfoñ meñ lahak baaqī hai
gul khilā.egī abhī aur na jaane kyā kyā
ye jo pahlū meñ mahaktī sī kasak baaqī hai
Top Urdushayar.com