shāḳh shāḳh par mausam-e-gul ne gajre se laTkā.e the
maiñ ne jis-dam haath baḌhāyā saare phuul parā.e the
kitne dard chamak uThte haiñ furqat ke sannāTe meñ
raat rāt-bhar jaag ke ham ne ḳhud pe zaḳhm lagā.e the
tere ġhamoñ kā zikr hī kyā ab jaane de ye baat na chheḌ
ham dīvāne mulk-e-junūñ meñ baḳht-e-sikandar laa.e the
dil kī vīrāñ bastī mujh se akasr pūchhā kartī hai
baste haiñ kis des meñ ab vo log yahāñ jo aa.e the
pichhlī raat ko taare ab bhī jhilmil karte haiñ
kis ko ḳhabar hai ik shab ham ne kitne ashk bahā.e the
aaj jahāñ kī tārīkī se duniyā bach kar chaltī hai
ham ne us vīrān mahal meñ lākhoñ diip jalā.e the
mujh ko un se pyaar nahīñ hai mujh ko un ke naam se kyā
āñkheñ yuuñ hī bhar aa.ī thiiñ hoñT yūñhī tharrā.e the