Noor Bijnauri

meri duniya sang-o-ahan unki duniya chand-sitare

Noor Bijnauri

Bijnor, Uttar pradesh, India

1924-2001
merī duniyā sañg-o-āhan un kī duniyā chāñd-sitāre
aql kahāñ tak dāman khīñche ishq kahāñ tak haath pasāre
apnī apnī dhun meñ magan haiñ shāmoñ sub.hoñ ke matvāle
sub.h ke aañsū kaun sukhā.e raat ke gesū kaun sañvāre
ābla-pā rahgīroñ ko jharnoñ se dil bahlāne bhī de
azm-e-javāñ ko aur javāñ kar apnī manzil duur hai pyāre
chham chham chham chham nāchtī maujeñ ye sargoshī kartī jaa.eñ
tūfānoñ kī raah takeñge kab tak ye majbūr kināre
'nūr' aqīdoñ ke sho.aloñ meñ rūheñ jaltī dekh chukī haiñ
tum bhī batāo in āñkhoñ se aañsū Tapkeñ yā añgāre
Top Urdushayar.com