Noor Bijnauri

ek tarannum sa mere paon ki zanjir mein hai

Noor Bijnauri

Bijnor, Uttar pradesh, India

1924-2001
ik tarannum sā mire paaoñ kī zanjīr meñ hai
phir koī fasl-e-bahārāñ mirī taqdīr meñ hai
jhilmilāte haiñ sitāre ki diye julte haiñ
kuchh ujālā sā tirī zulf-e-girah-gīr meñ hai
kuchh tirā husn bhī hai sāda-o-ma.asūm bahut
kuchh mirā pyaar bhī shāmil tirī tasvīr meñ hai
aur baḌhtī hai isī shaḳhs kī chāhat nāseh
ye karāmāt ajab aap kī taqrīr meñ hai
apnī khoī huī chhīnī huī jannat kā surāġh
halqa-e-dār meñ hai jumbish-e-shamshīr meñ hai
maiñ jo chāhūñ to pighal jaa.eñ judā.ī ke pahāḌ
ye bhī tāsīr mire nāla-e-shab-gīr meñ hai
māh-o-ḳhurshīd zamīñ par nahīñ utre ab tak
merā har ḳhvāb abhī parda-e-ta.abīr meñ hai
Top Urdushayar.com