Noor Bijnauri

chashm-e-nam le ke chalo qalb-e-tapan le ke chalo

Noor Bijnauri

Bijnor, Uttar pradesh, India

1924-2001
chashm-e-nam le ke chalo qalb-e-tapāñ le ke chalo
ek patthar ke liye sho.ala-e-jāñ le ke chalo
shāyad us ko bhī shab-e-hijr nazar aa jaa.e
apnī palkoñ pe charāġhoñ kā dhuāñ le ke chalo
us ko chāhā hai to phir sañg-e-malāmat bhī chuno
phuul toḌe haiñ to ab koh-e-girāñ le ke chalo
be-haqīqat haiñ vahāñ la.al-o-gohar shams-o-qamar
dushman-e-jāñ ke liye tohfa-e-jāñ le ke chalo
ek baar aur use dekh luuñ marte marte
merā qātil hai kahāñ mujh ko vahāñ le ke chalo
us ke hoñToñ se churā lo koī rañgīn sā ḳhvāb
us kī zulfoñ se koī abr-e-ravāñ le ke chalo
'nūr' dar-pesh hai ab tum ko ḳhizāoñ kā safar
us ke aariz se bahāroñ kā samāñ le ke chalo
Top Urdushayar.com