Noor Bijnauri

jaga raha hai tera gham nae nae jadu

Noor Bijnauri

Bijnor, Uttar pradesh, India

1924-2001
jagā rahā hai tirā ġham na.e na.e jaadū
umañD rahī hai ġhazal se bahār kī ḳhushbū
chahak rahe haiñ tasavvur ke baaġh meñ panchhī
bhaTak rahe haiñ ḳhayāloñ ke dasht meñ aahū
lachak rahā hai fazāoñ meñ ḳhvāb kā resham
bikhar ga.e haiñ ufuq-tā-ufuq tire gesū
na jaane kaun sī manzil pe aa gayā huuñ maiñ
na jaane kaun sī bastī meñ rah ga.ī hai tū
mire gale meñ hamā.il haiñ naaz se ab tak
mujhe na chhoḌ sake terī yaad ke baazū
kidhar ho muhtasibo phir koī nayā mansūr
farāz-e-dār se chhalkā rahā hai jām-o-subū
kabhī to bām-e-surayyā ko chuum hī legā
bahut latīf hai aadam kī jumbish-e-abrū
Top Urdushayar.com