Noor Bijnauri

gae dinon ke fasane suna rahi hai mujhe

Noor Bijnauri

Bijnor, Uttar pradesh, India

1924-2001
ga.e dinoñ ke fasāne sunā rahī hai mujhe
ye raat aur bhī pāgal banā rahī hai mujhe
ye dhundlī dhundlī sī parchhā.iyāñ haiñ yā ḳhilqat
uThā.e sañg-e-malāmat Darā rahī hai mujhe
khulā vo ek darīcha ghane daraḳhtoñ meñ
vo sabz-posh havā phir bulā rahī hai mujhe
mujhe to chāñd kahīñ bhī nazar nahīñ aatā
koī kiran sī magar jagmagā rahī hai mujhe
mahak uThī hai achānak galī galī dil kī
kalī kalī se tirī baas aa rahī hai mujhe
chaman chaman mirī āvārgī ke charche haiñ
nagar nagar koī āñdhī uḌā rahī hai mujhe
maiñ zindagī kī saḳhāvat pe kaañp uThtā huuñ
ki be-dareġh ye zālim luTā rahī hai mujhe
Top Urdushayar.com