yahāñ kisī ne charāġh-e-vafā jalāyā thā
tabhī ye ġham-kada-e-dil bhī jagmagāyā thā
junūñ kī shoḳh adāoñ ne faash kar hī diyā
vo ek raaz ḳhirad ne jise chhupāyā thā
shab-e-bahār kī shahzādiyo! ḳhabar hai tumheñ
abhī abhī koī nāshād muskurāyā thā
sulag rahī haiñ umañgeñ to sochtā huuñ maiñ
bahut hī ḳhushk tirī zulfoñ kā narm saaya thā
ye māhtāb se kis ne mujhe sadā dī thī
ye kaun duur se mere qarīb aayā thā