aql ne laakh añdheroñ meñ chhupāyā hai tujhe
merā vijdān magar chuum ke aayā hai tujhe
vo tilismāt nazar aa.e ki dekhe na sune
jab bhī āñkhoñ ke charāġhoñ meñ jalāyā hai tujhe
raat bhīgī hai to chheḌā hai tire dard kā saaz
chāñd niklā hai to chupke se jagāyā hai tujhe
maiñ to kyā vaqt bhī ab chhū na sakegā tujh ko
ishq ne masnad-e-yazdāñ pe biThāyā hai tujhe
vo tirā husn ki ḳhīra thī zamāne kī nazar
ye mirā fan ki tirā aks dikhāyā hai tujhe
aaj bhī zehan meñ bijlī sī chamak uThtī hai
kaun bholā hai tujhe kis ne bhulāyā hai tujhe
jagmagātī hai mirī ruuh to maiñ sochtā huuñ
maiñ ne khoyā hai mirī jaan ki paayā hai tujhe