Mohsin Naqvi

sanson ke is hunar ko na aasan KHayal kar

Mohsin Naqvi

Dera Gazi Khan, Punjab, Pakistan

1947-1996
sāñsoñ ke is hunar ko na āsāñ ḳhayāl kar
zinda huuñ sā.atoñ ko maiñ sadiyoñ meñ Dhaal kar
maalī ne aaj kitnī duā.eñ vasūl kiiñ
kuchh phuul ik faqīr kī jholī meñ Daal kar
kul yaum-e-hijr zard zamānoñ kā yaum hai
shab bhar na jaag muft meñ āñkheñ na laal kar
ai gard-bād lauT ke aanā hai phir mujhe
rakhnā mire safar kī aziyyat sambhāl kar
mehrāb meñ diye kī tarah zindagī guzār
muñh-zor āñdhiyoñ meñ na ḳhud ko niDhāl kar
shāyad kisī ne buḳhl-e-zamīñ par kiyā hai tanz
gahre samundaroñ se jazīre nikāl kar
ye naqd-e-jāñ ki is kā luTānā to sahl hai
gar ban paḌe to is se bhī mushkil savāl kar
'mohsin' barahna-sar chalī aa.ī hai shām-e-ġham
ġhurbat na dekh is pe sitāroñ kī shaal kar
Top Urdushayar.com