Mohsin Naqvi

hum jo pahunche sar-e-maqtal to ye manzar dekha

Mohsin Naqvi

Dera Gazi Khan, Punjab, Pakistan

1947-1996
ham jo pahuñche sar-e-maqtal to ye manzar dekhā
sab se ūñchā thā jo sar nok-e-sināñ par dekhā
ham se mat pūchh ki kab chāñd ubhartā hai yahāñ
ham ne sūraj bhī tire shahr meñ aa kar dekhā
aise lipTe haiñ dar-o-bām se ab ke jaise
hādsoñ ne baḌī muddat meñ mirā ghar dekhā
ab ye sochā hai ki auroñ kā kahā māneñge
apnī āñkhoñ pe bharosā to bahut kar dekhā
ek ik pal meñ utartā rahā sadiyoñ kā azaab
hijr kī raat guzārī hai ki mahshar dekhā
mujh se mat pūchh mirī tishna-labī ke tevar
ret chamkī to ye samjho ki samundar dekhā
dukh hī aisā thā ki 'mohsin' huā gum-sum varna
ġham chhupā kar use hañste hue aksar dekhā
Top Urdushayar.com