kis ne sañg-e-ḳhāmoshī pheñkā bhare-bāzār par
ik sukūt-e-marg taarī hai dar-o-dīvār par
tū ne apnī zulf ke saa.e meñ afsāne kahe
mujh ko zanjīreñ milī haiñ jur.at-e-iz.hār par
shāḳh-e-uriyāñ par khilā ik phuul is andāz se
jis tarah taaza lahū chamke na.ī talvār par
sañg-dil ahbāb ke dāman meñ rusvā.ī ke phuul
maiñ ne dekhā hai nayā manzar farāz-e-dār par
ab koī tohmat bhī vaj.h-e-karb-e-rusvā.ī nahīñ
zindagī ik umr se chup hai tire isrār par
maiñ sar-e-maqtal hadīs-e-zindagī kahtā rahā
uñgliyāñ uThtī rahīñ 'mohsin' mire kirdār par