ujaḌ ujaḌ ke sañvartī hai tere hijr kī shaam
na pūchh kaise guzartī hai tere hijr kī shaam
ye barg barg udāsī bikhar rahī hai mirī
ki shāḳh shāḳh utartī hai tere hijr kī shaam
ujaaḌ ghar meñ koī chāñd kab utartā hai
savāl mujh se ye kartī hai tere hijr kī shaam
mire safar meñ ik aisā bhī moḌ aatā hai
jab apne aap se Dartī hai tere hijr kī shaam
bahut aziiz haiñ dil ko ye zaḳhm zaḳhm ruteñ
inhī rutoñ meñ nikhartī hai tere hijr kī shaam
ye merā dil ye sarāsar nigār-ḳhāna-e-ġham
sadā isī meñ utartī hai tere hijr kī shaam
jahāñ jahāñ bhī mileñ terī qurbatoñ ke nishāñ
vahāñ vahāñ se ubhartī hai tere hijr kī shaam
ye hādisa tujhe shāyad udaas kar degā
ki mere saath hī martī hai tere hijr kī shaam