zaḳhm ke phuul se taskīn talab kartī hai
ba.az auqāt mirī ruuh ġhazab kartī hai
jo tirī zulf se utre hoñ mire āñgan meñ
chāñdnī aise añdheroñ kā adab kartī hai
apne insāf kī zanjīr na dekho ki yahāñ
muflisī zehn kī fariyād bhī kab kartī hai
sehn-e-gulshan meñ havāoñ kī sadā ġhaur se sun
har kalī mātam-e-sad-jashn-e-tarab kartī hai
sirf din Dhalne pe mauqūf nahīñ hai 'mohsin'
zindagī zulf ke saa.e meñ bhī shab kartī hai