Mohsin Naqvi

KHumar-e-mausam-e-KHushbu had-e-chaman mein khula

Mohsin Naqvi

Dera Gazi Khan, Punjab, Pakistan

1947-1996
ḳhumār-e-mausam-e-ḳhushbū had-e-chaman meñ khulā
mirī ġhazal kā ḳhazāna tire badan meñ khulā
tum us kā husn kabhī us kī bazm meñ dekho
ki māhtāb sadā shab ke pairahan meñ khulā
ajab nasha thā magar us kī baḳhshish-e-lab meñ
ki yuuñ to ham se bhī kyā kyā na vo suḳhan meñ khulā
na pūchh pahlī mulāqāt meñ mizāj us kā
vo rañg rañg meñ simTā kiran kiran meñ khulā
badan kī chaap nigah kī zabāñ bhī hotī hai
ye bhed ham pe magar us kī anjuman meñ khulā
ki jaise abr havā kī girah se khul jaa.e
safar kī shaam mirā mehrbāñ thakan meñ khulā
kahūñ maiñ kis se nishānī thī kis masīhā kī
vo ek zaḳhm ki 'mohsin' mire kafan meñ khulā
Top Urdushayar.com