Mohsin Naqvi

jab hijr ke shahr mein dhup utri main jag paDa to KHwab hua

Mohsin Naqvi

Dera Gazi Khan, Punjab, Pakistan

1947-1996

jab hijr ke shahr meñ dhuup utrī maiñ jaag paḌā to ḳhvāb huā

mirī soch ḳhizāñ shāḳh banī tirā chehra aur gulāb huā

barfīlī rut tez havā kyuuñ jhiil meñ kañkar pheñk ga.ī

ik aañkh niiñd harām huī ik chāñd aks ḳharāb huā

tire hijr meñ zehn pighaltā thā tire qurb meñ āñkheñ jaltī haiñ

tujhe khonā ek qayāmat thā tirā milnā aur azaab huā

bhare shahr meñ ek chehra thā jise aaj bhī galiyāñ DhūñDtī haiñ

kisī sub.h usī dhuup khilī kisī raat vahī mahtāb huā

baḌī umr ke ba.ad in āñkhoñ meñ koī abr utrā tirī yādoñ

mire dil zamīñ ābād huī mire ġham nagar shādāb huā

kabhī vasl meñ 'mohsin' dil TuuTā kabhī hijr rut ne laaj rakhī

kisī jism meñ āñkheñ kho baiThe koī chehra khulī kitāb huā

Top Urdushayar.com