Mohsin Naqvi

ye dil ye pagal dil mera kyun bujh gaya aawargi

Mohsin Naqvi

Dera Gazi Khan, Punjab, Pakistan

1947-1996
ye dil ye pāgal dil mirā kyuuñ bujh gayā āvārgī
is dasht meñ ik shahr thā vo kyā huā āvārgī
kal shab mujhe be-shakl kī āvāz ne chauñkā diyā
maiñ ne kahā tū kaun hai us ne kahā āvārgī
logo bhalā is shahr meñ kaise jiyeñge ham jahāñ
ho jurm tanhā sochnā lekin sazā āvārgī
ye dard kī tanhā.iyāñ ye dasht kā vīrāñ safar
ham log to uktā ga.e apnī sunā āvārgī
ik ajnabī jhoñke ne jab pūchhā mire ġham kā sabab
sahrā kī bhīgī ret par maiñ ne likhā āvārgī
us samt vahshī ḳhvāhishoñ kī zad meñ paimān-e-vafā
us samt lahroñ kī dhamak kachchā ghaḌā āvārgī
kal raat tanhā chāñd ko dekhā thā maiñ ne ḳhvāb meñ
'mohsin' mujhe raas aa.egī shāyad sadā āvārgī
Top Urdushayar.com