zikr-e-shab-e-firāq se vahshat use bhī thī
merī tarah kisī se mohabbat use bhī thī
mujh ko bhī shauq thā na.e chehroñ kī diid kā
rasta badal ke chalne kī aadat use bhī thī
is raat der tak vo rahā mahv-e-guftugū
masrūf maiñ bhī kam thā farāġhat use bhī thī
mujh se bichhaḌ ke shahr meñ ghul-mil gayā vo shaḳhs
hālāñki shahr-bhar se adāvat use bhī thī
vo mujh se baḌh ke zabt kā aadī thā jī gayā
varna har ek saañs qayāmat use bhī thī
suntā thā vo bhī sab se purānī kahāniyāñ
shāyad rafāqatoñ kī zarūrat use bhī thī
tanhā huā safar meñ to mujh pe khulā ye bhed
saa.e se pyaar dhuup se nafrat use bhī thī
'mohsin' maiñ us se kah na sakā yuuñ bhī haal dil
darpesh ek taaza musībat use bhī thī