Mohsin Naqvi

labon pe harf-e-rajaz hai zirah utar ke bhi

Mohsin Naqvi

Dera Gazi Khan, Punjab, Pakistan

1947-1996
laboñ pe harf-e-rajaz hai zirah utaar ke bhī
maiñ jashn-e-fat.h manātā huuñ jañg haar ke bhī
use lubhā na sakā mere ba.ad kā mausam
bahut udaas lagā ḳhāl-o-ḳhad sañvār ke bhī
ab ek pal kā taġhāful bhī sah nahīñ sakte
ham ahl-e-dil kabhī aadī the intizār ke bhī
vo lamha bhar kī kahānī ki umr bhar meñ kahī
abhī to ḳhud se taqāze the iḳhtisār ke bhī
zamīn oḌh lī ham ne pahuñch ke manzil par
ki ham pe qarz the kuchh gard-e-rahguzār ke bhī
mujhe na sun mire be-shakl ab dikhā.ī to de
maiñ thak gayā huuñ fazā meñ tujhe pukār ke bhī
mirī duā ko palaTnā thā phir udhar 'mohsin'
bahut ujaaḌ the manzar ufuq se paar ke bhī
Top Urdushayar.com