maiñ chup rahā ki zahr yahī mujh ko raas thā
vo sañg-e-lafz pheñk ke kitnā udaas thā
aksar mirī qabā pe hañsī aa ga.ī jise
kal mil gayā to vo bhī darīda-libās thā
maiñ DhūñDhtā thā duur ḳhalāoñ meñ ek jism
chehroñ kā ik hujūm mire ās-pās thā
tum ḳhush the pattharoñ ko ḳhudā jaan ke magar
mujh ko yaqīn hai vo tumhārā qayās thā
baḳhshā hai jis ne ruuh ko zaḳhmoñ kā pairahan
'mohsin' vo shaḳhs kitnā tabī.at-shanās thā