Mohsin Naqvi

zaban rakhta hun lekin chup khaDa hun

Mohsin Naqvi

Dera Gazi Khan, Punjab, Pakistan

1947-1996
zabāñ rakhtā huuñ lekin chup khaḌā huuñ
maiñ āvāzoñ ke ban meñ ghir gayā huuñ
mire ghar kā darīcha pūchhtā hai
maiñ saarā din kahāñ phirtā rahā huuñ
mujhe mere sivā sab log samjheñ
maiñ apne aap se kam boltā huuñ
sitāroñ se hasad kī intihā hai
maiñ qabroñ par charāġhāñ kar rahā huuñ
sambhal kar ab havāoñ se ulajhnā
maiñ tujh se pesh-tar bujhne lagā huuñ
mirī qurbat se kyuuñ ḳhā.if hai duniyā
samundar huuñ maiñ ḳhud meñ gūñjtā huuñ
mujhe kab tak sameTegā vo 'mohsin'
maiñ andar se bahut TuuTā huā huuñ
Top Urdushayar.com