saare lahje tire be-zamāñ ek maiñ
is bhare shahr meñ rā.egāñ ek maiñ
vasl ke shahr kī raushnī ek tū
hijr ke dasht meñ kārvāñ ek maiñ
bijliyoñ se bharī bārisheñ zor par
apnī bastī meñ kachchā makāñ ek maiñ
hasratoñ se aTe āsmāñ ke tale
jaltī-bujhtī huī kahkashāñ ek maiñ
mujh ko fāriġh dinoñ kī amānat samajh
bhūlī-bisrī huī dāstāñ ek maiñ
raunaqeñ shor mele jhamele tire
apnī tanhā.ī kā rāz-dāñ ek maiñ
ek maiñ apnī hī zindagī kā bharam
apnī hī maut par nauha-ḳhvāñ ek maiñ
us taraf sañg-bārī har ik baam se
is taraf ā.inoñ kī dukāñ ek maiñ
vo nahīñ hai to 'mohsin' ye mat sochnā
ab bhaTaktā phiruñgā kahāñ ek maiñ