ab ke bārish meñ to ye kār-e-ziyāñ honā hī thā
apnī kachchī bastiyoñ ko be-nishāñ honā hī thā
kis ke bas meñ thā havā kī vahshatoñ ko roknā
barg-e-gul ko ḳhaak sho.ale ko dhuāñ honā hī thā
jab koī samt-e-safar tai thī na hadd-e-rahguzar
ai mire rah-rau safar to rā.egāñ honā hī thā
mujh ko ruknā thā use jaanā thā agle moḌ tak
faisla ye us ke mere darmiyāñ honā hī thā
chāñd ko chalnā thā bahtī sīpiyoñ ke saath saath
mo.ajiza ye bhī tah-e-āb-e-ravāñ honā hī thā
maiñ na.e chehroñ pe kahtā thā na.ī ġhazleñ sadā
merī is aadat se us ko bad-gumāñ honā hī thā
shahr se bāhar kī vīrānī basānā thī mujhe
apnī tanhā.ī pe kuchh to mehrbāñ honā hī thā
apnī āñkheñ dafn karnā thiiñ ġhubār-e-ḳhāk meñ
ye sitam bhī ham pe zer-e-āsmāñ honā hī thā
be-sadā bastī kī rasmeñ thiiñ yahī 'mohsin' mire
maiñ zabāñ rakhtā thā mujh ko be-zabāñ honā hī thā