Mohsin Naqvi

hawa-e-hijr mein jo kuchh tha ab ke KHak hua

Mohsin Naqvi

Dera Gazi Khan, Punjab, Pakistan

1947-1996
havā-e-hijr meñ jo kuchh thā ab ke ḳhaak huā
ki pairahan to gayā thā badan bhī chaak huā
ab us se tark-e-ta.alluq karūñ to mar jā.ūñ
badan se ruuh kā is darja ishtirāk huā
yahī ki sab kī kamāneñ hamīñ pe TuuTī haiñ
chalo hisāb-e-saf-e-dostāñ to paak huā
vo be-sabab yūñhī rūThā hai lamha-bhar ke liye
ye sāneha na sahī phir bhī karb-nāk huā
usī ke qurb ne taqsīm kar diyā āḳhir
vo jis kā hijr mujhe vaj.h-e-inhimāk huā
shadīd vaar na dushman diler thā 'mohsin'
maiñ apnī be-ḳhabarī se magar halāk huā
Top Urdushayar.com