Mohsin Naqvi

faza ka habs shagufon ko bas kya dega

Mohsin Naqvi

Dera Gazi Khan, Punjab, Pakistan

1947-1996
fazā kā habs shagūfoñ ko baas kyā degā
badan-darīda kisī ko libās kyā degā
ye dil ki qahat-e-anā se ġharīb Thahrā hai
mirī zabāñ ko zar-e-iltimās kyā degā
jo de sakā na pahāḌoñ ko barf kī chādar
vo merī bāñjh zamīñ ko kapās kyā degā
ye shahr yuuñ bhī to dahshat bharā nagar hai yahāñ
diloñ kā shor havā ko hirās kyā degā
vo zaḳhm de ke mujhe hausla bhī detā hai
ab is se baḌh ke tabī.at-shanās kyā degā
jo apnī zaat se bāhar na aa sakā ab tak
vo pattharoñ ko matā-e-havās kyā degā
vo mere ashk bujhā.egā kis tarah 'mohsin'
samundaroñ ko vo sahrā kī pyaas kyā degā
Top Urdushayar.com