ab vo tūfāñ hai na vo shor havāoñ jaisā
dil kā aalam hai tire ba.ad ḳhalāoñ jaisā
kaash duniyā mire ehsās ko vāpas kar de
ḳhāmushī kā vahī andāz sadāoñ jaisā
paas rah kar bhī hamesha vo bahut duur milā
us kā andāz-e-taġhāful thā ḳhudāoñ jaisā
kitnī shiddat se bahāroñ ko thā ehsās-e-ma.āl
phuul khil kar bhī rahā zard ḳhizāoñ jaisā
kyā qayāmat hai ki duniyā use sardār kahe
jis kā andāz-e-suḳhan bhī ho gadāoñ jaisā
phir tirī yaad ke mausam ne jagā.e mahshar
phir mire dil meñ uThā shor havāoñ jaisā
bārhā ḳhvāb meñ pā kar mujhe pyāsā 'mohsin'
us kī zulfoñ ne kiyā raqs ghaTāoñ jaisā