ab ye sochūñ to bhañvar zehn meñ paḌ jaate haiñ
kaise chehre haiñ jo milte hī bichhaḌ jaate haiñ
kyuuñ tire dard ko deñ tohmat-e-vīrānī-e-dil
zalzaloñ meñ to bhare shahr ujaḌ jaate haiñ
mausam-e-zard meñ ik dil ko bachā.ūñ kaise
aisī rut meñ to ghane peḌ bhī jhaḌ jaate haiñ
ab koī kyā mire qadmoñ ke nishāñ DhūñDegā
tez āñdhī meñ to ḳheme bhī ukhaḌ jaate haiñ
shaġhl-e-arbāb-e-hunar pūchhte kyā ho ki ye log
pattharoñ meñ bhī kabhī aa.ine jaḌ jaatī haiñ
soch kā aa.ina dhundlā ho to phir vaqt ke saath
chāñd chehroñ ke ḳhad-o-ḳhāl bigaḌ jaate haiñ
shiddat-e-ġham meñ bhī zinda huuñ to hairat kaisī
kuchh diye tund havāoñ se bhī laḌ jaate haiñ
vo bhī kyā log haiñ 'mohsin' jo vafā kī ḳhātir
ḳhud-tarāshīda usūloñ pe bhī aḌ jaate haiñ