ek pal meñ zindagī bhar kī udāsī de gayā
vo judā hote hue kuchh phuul baasī de gayā
noch kar shāḳhoñ ke tan se ḳhushk pattoñ kā libās
zard mausam bāñjh-rut ko be-libāsī de gayā
sub.h ke taare mirī pahlī duā tere liye
tū dil-e-be-sabr ko taskīñ zarā sī de gayā
log malboñ meñ dabe saa.e bhī dafnāne lage
zalzala ahl-e-zamīñ ko bad-havāsī de gayā
tund jhoñke kī ragoñ meñ ghol kar apnā dhuāñ
ik diyā andhī havā ko ḳhud-shanāsī de gayā
le gayā 'mohsin' vo mujh se abr bantā āsmāñ
us ke badle meñ zamīñ sadiyoñ kī pyāsī de gayā