ba-nām-e-tāqat koī ishāra nahīñ chalegā
udaas nasloñ pe ab ijāra nahīñ chalegā
ham apnī dhartī se apnī har samt ḳhud talāsheñ
hamārī ḳhātir koī sitāra nahīñ chalegā
hayāt ab shām-e-ġham kī tashbīh ḳhud banegī
tumhārī zulfoñ kā isti.āra nahīñ chalegā
chalo saroñ kā ḳhirāj nok-e-sināñ ko baḳhsheñ
ki jaañ bachāne kā istiḳhāra nahīñ chalegā
hamāre jazbe baġhāvatoñ ko tarāshte haiñ
hamāre jazboñ pe bas tumhārā nahīñ chalegā
azal se qaa.em haiñ donoñ apnī zidoñ pe 'mohsin'
chalegā paanī magar kināra nahīñ chalegā