Mohsin Naqvi

agarche main ek chaTan sa aadmi raha hun

Mohsin Naqvi

Dera Gazi Khan, Punjab, Pakistan

1947-1996
agarche maiñ ik chaTān sā aadmī rahā huuñ
magar tire ba.ad hausla hai ki jī rahā huuñ
vo reza reza mire badan meñ utar rahā hai
maiñ qatra qatra usī kī āñkhoñ ko pī rahā huuñ
tirī hathelī pe kis ne likkhā hai qatl merā
mujhe to lagtā hai maiñ tirā dost bhī rahā huuñ
khulī haiñ āñkheñ magar badan hai tamām patthar
koī batā.e maiñ mar chukā huuñ ki jī rahā huuñ
kahāñ milegī misāl merī sitamgarī kī
ki maiñ gulāboñ ke zaḳhm kāñToñ se sī rahā huuñ
na pūchh mujh se ki shahr vāloñ kā haal kyā thā
ki maiñ to ḳhud apne ghar meñ bhī do ghaḌī rahā huuñ
milā to biite dinoñ kā sach us kī aañkh meñ thā
vo āshnā jis se muddatoñ ajnabī rahā huuñ
bhulā de mujh ko ki bevafā.ī bajā hai lekin
gañvā na mujh ko ki maiñ tirī zindagī rahā huuñ
vo ajnabī ban ke ab mile bhī to kyā hai 'mohsin'
ye naaz kam hai ki maiñ bhī us kā kabhī rahā huuñ
Top Urdushayar.com