har ek shab yūñhī dekheñgī sū-e-dar āñkheñ
tujhe gañvā ke na so.eñgī umr-bhar āñkheñ
tulū-e-sub.h se pahle hī bujh na jaa.eñ kahīñ
ye dasht-e-shab meñ sitāroñ kī ham-safar āñkheñ
sitam ye kam to nahīñ dil giraftagī ke liye
maiñ shahr bhar meñ akelā idhar-udhar āñkheñ
shumār us kī saḳhāvat kā kyā kareñ ki vo shaḳhs
charāġh bāñTtā phirtā hai chhīn kar āñkheñ
maiñ zaḳhm zaḳhm huā jab to mujh pe bhed khulā
ki pattharoñ ko samajhtī rahīñ guhar āñkheñ
maiñ apne ashk sañbhālūñgā kab talak 'mohsin'
zamāna sañg-ba-kaf hai to shīshagar āñkheñ