Mohsin Naqvi

main dil pe jabr karunga tujhe bhula dunga

Mohsin Naqvi

Dera Gazi Khan, Punjab, Pakistan

1947-1996
maiñ dil pe jabr karūñgā tujhe bhulā dūñgā
marūñgā ḳhud bhī tujhe bhī kaḌī sazā dūñgā
ye tīrgī mire ghar kā hī kyuuñ muqaddar ho
maiñ tere shahar ke saare diye bujhā dūñgā
havā kā haath baTā.ūñgā har tabāhī meñ
hare shajar se parinde maiñ ḳhud uḌā dūñgā
vafā karūñgā kisī sogvār chehre se
purānī qabr pe katba nayā sajā dūñgā
isī ḳhayāl meñ guzrī hai shām-e-dard akasr
ki dard had se baḌhegā to muskurā dūñgā
tū āsmān kī sūrat hai gar paḌegā kabhī
zamīñ huuñ maiñ bhī magar tujh ko aasrā dūñgā
baḌhā rahī haiñ mire dukh nishāniyāñ terī
maiñ tere ḳhat tirī tasvīr tak jalā dūñgā
bahut dinoñ se mirā dil udaas hai 'mohsin'
is aa.ine ko koī aks ab nayā dūñgā
Top Urdushayar.com