Mohsin Naqvi

tere badan se jo chhu kar idhar bhi aata hai

Mohsin Naqvi

Dera Gazi Khan, Punjab, Pakistan

1947-1996
tire badan se jo chhū kar idhar bhī aatā hai
misāl-e-rañg vo jhoñkā nazar bhī aatā hai
tamām shab jahāñ jaltā hai ik udaas diyā
havā kī raah meñ ik aisā ghar bhī aatā hai
vo mujh ko TuuT ke chāhegā chhoḌ jā.egā
mujhe ḳhabar thī use ye hunar bhī aatā hai
ujaaḌ ban meñ utartā hai ek jugnū bhī
havā ke saath koī ham-safar bhī aatā hai
vafā kī kaun sī manzil pe us ne chhoḌā thā
ki vo to yaad hameñ bhuul kar bhī aatā hai
jahāñ lahū ke samundar kī had Thahartī hai
vahīñ jazīra-e-lāl-o-guhar bhī aatā hai
chale jo zikr farishtoñ kī pārsā.ī kā
to zer-e-bahs maqām-e-bashar bhī aatā hai
abhī sināñ ko sambhāle raheñ adū mere
ki un safoñ meñ kahīñ merā sar bhī aatā hai
kabhī kabhī mujhe milne bulandiyoñ se koī
shuā-e-sub.h kī sūrat utar bhī aatā hai
isī liye maiñ kisī shab na so sakā 'mohsin'
vo māhtāb kabhī baam par bhī aatā hai
Top Urdushayar.com