Mohsin Naqvi

marka ab ke hua bhi to phir aisa hoga

Mohsin Naqvi

Dera Gazi Khan, Punjab, Pakistan

1947-1996
ma.arka ab ke huā bhī to phir aisā hogā
tere dariyā pe mirī pyaas kā pahra hogā
us kī āñkheñ tire chehre pe bahut boltī haiñ
us ne palkoñ se tirā jism tarāshā hogā
kitne jugnū isī ḳhvāhish meñ mire saath chale
koī rasta tire ghar ko bhī to jaatā hogā
maiñ bhī apne ko bhulā.e hue phirtā huuñ bahut
aa.ina us ne bhī kuchh roz na dekhā hogā
raat jal-thal mirī āñkhoñ meñ utar aayā thā
sūrat-e-abr koī TuuT ke barsā hogā
ye masīhā.ī use bhuul ga.ī hai 'mohsin'
yā phir aisā hai mirā zaḳhm hī gahrā hogā
Top Urdushayar.com