Mohsin Naqvi

ujDe hue logon se gurezan na hua kar

Mohsin Naqvi

Dera Gazi Khan, Punjab, Pakistan

1947-1996
ujḌe hue logoñ se gurezāñ na huā kar
hālāt kī qabroñ ke ye katbe bhī paḌhā kar
kyā jāniye kyuuñ tez havā soch meñ gum hai
ḳhvābīda parindoñ ko daraḳhtoñ se uḌā kar
us shaḳhs ke tum se bhī marāsim haiñ to hoñge
vo jhuuT na bolegā mire sāmne aa kar
har vaqt kā hañsnā tujhe barbād na kar de
tanhā.ī ke lamhoñ meñ kabhī ro bhī liyā kar
vo aaj bhī sadiyoñ kī masāfat pe khaḌā hai
DhūñDā thā jise vaqt kī dīvār girā kar
ai dil tujhe dushman kī bhī pahchān kahāñ hai
tū halqa-e-yārāñ meñ bhī mohtāt rahā kar
is shab ke muqaddar meñ sahar hī nahīñ 'mohsin'
dekhā hai ka.ī baar charāġhoñ ko bujhā kar
Top Urdushayar.com