Mohsin Naqvi

itni muddat baad mile ho

Mohsin Naqvi

Dera Gazi Khan, Punjab, Pakistan

1947-1996
itnī muddat ba.ad mile ho
kin sochoñ meñ gum phirte ho
itne ḳhā.if kyuuñ rahte ho
har aahaT se Dar jaate ho
tez havā ne mujh se pūchhā
ret pe kyā likhte rahte ho
kaash koī ham se bhī pūchhe
raat ga.e tak kyuuñ jaage ho
meñ dariyā se bhī Dartā huuñ
tum dariyā se bhī gahre ho
kaun sī baat hai tum meñ aisī
itne achchhe kyuuñ lagte ho
pīchhe muḌ kar kyuuñ dekhā thā
patthar ban kar kyā takte ho
jaao jiit kā jashn manāo
meñ jhūTā huuñ tum sachche ho
apne shahar ke sab logoñ se
merī ḳhātir kyuuñ uljhe ho
kahne ko rahte ho dil meñ
phir bhī kitne duur khaḌe ho
raat hameñ kuchh yaad nahīñ thā
raat bahut hī yaad aa.e ho
ham se na pūchho hijr ke qisse
apnī kaho ab tum kaise ho
'mohsin' tum badnām bahut ho
jaise ho phir bhī achchhe ho
Top Urdushayar.com