Mohsin Naqvi

wo dilawar jo siyah shab ke shikari nikle

Mohsin Naqvi

Dera Gazi Khan, Punjab, Pakistan

1947-1996
vo dilāvar jo siyah shab ke shikārī nikle
vo bhī chaḌhte hue sūraj ke pujārī nikle
sab ke hoñToñ pe mire ba.ad haiñ bāteñ merī
mere dushman mire lafzoñ ke bhikārī nikle
ik janāza uThā maqtal meñ ajab shaan ke saath
jaise saj kar kisī fāteh kī savārī nikle
ham ko har daur kī gardish ne salāmī dī hai
ham vo patthar haiñ jo har daur meñ bhārī nikle
aks koī ho ḳhad-o-ḳhāl tumhāre dekhūñ
bazm koī ho magar baat tumhārī nikle
apne dushman se maiñ be-vaj.h ḳhafā thā 'mohsin'
mere qātil to mire apne havārī nikle
Top Urdushayar.com