aap kī aañkh se gahrā hai mirī ruuh kā zaḳhm
aap kyā soch sakeñge mirī tanhā.ī ko
maiñ to dam toḌ rahā thā magar afsurda hayāt
ḳhud chalī aa.ī mirī hausla-afzā.ī ko
lazzat-e-ġham ke sivā terī nigāhoñ ke baġhair
kaun samjhā hai mire zaḳhm kī gahrā.ī ko
maiñ baḌhā.uñgā tirī shohrat-e-ḳhush-bū kā nikhār
tū duā de mire afsāna-e-rusvā.ī ko
vo to yuuñ kahiye ki ik qaus-e-quzah phail ga.ī
varna maiñ bhuul gayā thā tirī añgḌā.ī ko