Mohsin Naqvi

phir wahi main hun wahi shahr-badar sannaTa

Mohsin Naqvi

Dera Gazi Khan, Punjab, Pakistan

1947-1996
phir vahī maiñ huuñ vahī shahr-badar sannāTā
mujh ko Das le na kahīñ ḳhāk-basar sannāTā
dasht-e-hastī meñ shab-e-ġham kī sahar karne ko
hijr vāloñ ne liyā raḳht-e-safar sannāTā
kis se pūchhūñ ki kahāñ hai mirā rone vaalā
is taraf maiñ huuñ mire ghar se udhar sannāTā
tū sadāoñ ke bhañvar meñ mujhe āvāz to de
tujh ko degā mire hone kī ḳhabar sannāTā
us ko hañgāma-e-manzil kī ḳhabar kyā doge
jis ne paayā ho sar-e-rāhguzar sannāTā
hāsil-e-kunj-e-qafas vahm-ba-kaf tanhā.ī
raunaq-e-shām-e-safar tā-ba-sahar sannāTā
qsimat-e-shā.ir-e-sīmāb-sifat dasht kī maut
qīmat-e-reza-e-almās-e-hunar sannāTā
jān-e-'mohsin' mirī taqdīr meñ kab likkhā hai
Dūbtā chāñd tirā qurb-e-gajar sannāTā
Top Urdushayar.com