bhaḌkā.eñ mirī pyaas ko aksar tirī āñkheñ
sahrā mirā chehrā hai samundar tirī āñkheñ
phir kaun bhalā dād-e-tabassum unheñ degā
ro.eñgī bahut mujh se bichhaḌ kar tirī āñkheñ
ḳhālī jo huī shām-e-ġharībāñ kī hathelī
kyā kyā na luTātī rahīñ gauhar terī āñkheñ
bojhal nazar aatī haiñ ba-zāhir mujhe lekin
khultī haiñ bahut dil meñ utar kar tirī āñkheñ
ab tak mirī yādoñ se miTā.e nahīñ miTtā
bhīgī huī ik shaam kā manzar tirī āñkheñ
mumkin ho to ik taaza ġhazal aur bhī kah luuñ
phir oḌh na leñ ḳhvāb kī chādar tirī āñkheñ
maiñ sañg-sifat ek hī raste meñ khaḌā huuñ
shāyad mujhe dekheñgī palaT kar tirī āñkheñ
yuuñ dekhte rahnā use achchhā nahīñ 'mohsin'
vo kāñch kā paikar hai to patthar tirī āñkheñ