Mohsin Naqvi

naya hai shahr nae aasre talash karun

Mohsin Naqvi

Dera Gazi Khan, Punjab, Pakistan

1947-1996
nayā hai shahr na.e aasre talāsh karūñ
tū kho gayā hai kahāñ ab tujhe talāsh karūñ
jo dasht meñ bhī jalāte the fasl-e-gul ke charāġh
maiñ shahr meñ bhī vahī aable talāsh karūñ
tū aks hai to kabhī merī chashm-e-tar meñ utar
tire liye maiñ kahāñ aa.ine talāsh karūñ
tujhe havās kī āvārgī kā ilm kahāñ
kabhī maiñ tujh ko tire sāmne talāsh karūñ
ġhazal kahūñ kabhī saada se ḳhat likhūñ us ko
udaas dil ke liye mashġhale talāsh karūñ
mire vajūd se shāyad mile surāġh tirā
kabhī maiñ ḳhud ko tire vāste talāsh karūñ
maiñ chup rahūñ kabhī be-vaj.h hañs paḌūñ 'mohsin'
use gañvā ke ajab hausle talāsh karūñ
Top Urdushayar.com