hai chaman meñ zindagī kī dāstāñ bikhrī huī
phuul murjhā.e hue aur pattiyāñ bikhrī huī
ik nazar ke sāmne hai us nazar kī oT meñ
zindagī hai do jahāñ ke darmiyāñ bikhrī huī
maiñ samajhtā huuñ zamīñ par inqalāb aane ko hai
āsmāñ par haiñ shafaq kī surḳhiyāñ bikhrī huī
dekhne kī chiiz thī kal ḳhvāb-gāh-e-nāz meñ
hasrateñ sahmī huī añgḌā.iyāñ bikhrī huī
apnī hālat ko jo dekhā inqalāb aane ke baad
dil ke vīrāne meñ thiiñ ḳhush-fahmiyāñ bikhrī huī
aaj 'tābish' phir yahāñ par baiThne ke shauq meñ
jam.a karnī paḌ ga.iiñ tanhā.iyāñ bikhrī huī